Saturday, 7 July 2012

Islam aur jado


Islam aur jado ka inkar nahi kiya hai lekin isse haram karar diya hai. Suwam NABI YE KARIM SALLAL LAHO ALLEH HI WASALAM  par madine k eek yahudi ne jado kar diya tha aur allah ne issi jado ke asar ko khatam karne ke liye surah falak wa surah nas aap par uttari thi. Islam dhrm sastriyo ne jado ke bare me ya wakhyae ki hai ki jin amal me saitani arwah khabis wa palid aatmao se madad li jati hai to wah kam shirk ki tarha hai arthat jado ke bare me islam ka ispast kehna ya hai ki jao sikhna karna haram aur shirk jaisa hai.
Jado ka karne wala iska amel kafir hai aur jin amel me inke allawa dushre tarike istemal kiye jaye aur unse dushro ko nukhsan pahuchaye jaye unko karne wala haram aur kabira gunah ka karne wala hai.
Huzur sarware kainat  NABI YE KARIM SALLAL LAHO ALLEH HI WASALLAM ne farmaya-
“Khatarnak (nukhsan pahuchane wali) baato se bacho arthat shirk wa jado se”.
Allama ibne hazar sakalin (R.A) ne fatahul bari me likha hai ki- “allama nudi kehte hai jado haram hai aur yah sabke anushar aam sahmati se gunah e kabira me se ek hai. NABI YE KARIM SALLAL LAHO ALLEH HI WASALLAM ne farmaya isse mohelik (yani khatam kar dene wali) chijo me se mana gaya hai aur jado ki kuch surate kufr hai to kuch gunah hai. To yadi koi jado ka mantar ya amal kufr karne jaisa hai to wah kufr hi hoga warna gunah to hai hi. Matlab yah ki jado sikhna, sikhana, kisi par karna ya karwana sab haram hai.

No comments:

Post a Comment