Wiswasniye kitabo wa ite hasik ke adhayan ke bad pata chala hai ki namrood badshah ke
jamane me babul ke haqimo ne six teelism ayse ajebo garib tayar kiye the ki
insane ki akal me wah nahi sama sake the. Insane ki akal ki un tak pahuch ho hi
nahi saki hai.
We six teelism is prakar the-
1)
Kuldaniyo ne tambe ki ek batak bana rakhi thi.
Is batak ki yah wisest thi ki jab koi chor ya wideshi jasoos sahar me dhakil
hota to yah batak aap se aap shoor machalne lagti thi. Log samag jate the ki sahar me koi chor ya jasoos aya
hai. We use talash karte aur fir giraftar kar lete the.
2)
Unhoone ek nakara aisa banaya tha ki yadi kisi
aadmi ki koi cheej gum ho jati to wah nakara per choot marta to use awaj aati
thi ki tumhari cheej kho gaye hai fala aadmi ke pas hai ya fala gajha per hai.
3)
Ek sisa is prakar ka bana hua tha ki jo gayab
hone wale yak ho jane wale ka pura pura hal bata deta tha ki wah is samaye kaha
hai kis hal me hai.
4)
Unhone ek aisa hoog bhi bana rakha tha ki jiske
kinare utsav ke aosar per log jama hokar alag alag kism ke sarbat us hoog me
dalte the aur jis samay unko jaroorat hoti thi wah sarbat jo usne hoog me dala
tha use mil jata tha.
5)
Kuldaniyo ne ek aisa talab banaya tha jiske jariye matbhed wale maslo ko
hal kiya jata tha. Yadikisi cheej ke bare me do admi dawedar hote to unke dono
us talab me utar jate the jo unme se haq per hota tha to talab ka pani uske to
kewal nari tak hi ata tha aur jo haq per nahi hota thaw ah talab me doob jata
tha.
6)
Badshah namrood ke mehal ke darwaje per
kuldaniyo ne ek aisa tree lagaya tha jiska saya admio ki sankhya ke anoosar
ghata badhta rehta tha.
Ye sare teelism badshah namrood ki
rajdhani babul me majood the. Is kala ke
jankar arththat jado ki wedhi ko janne walo ka kehna hai ki jado ki yah kism
bari hi khathin hai. Ise sikhne me bari bhari riyaz, samay wa mehnat ki
awasakta hai.na jane kitna sakt halat ka ise sikhne ke dooran samna karna parta
hai. Itni baat awasyak hai ki is widhi ka janne wala aapne jadoo ke bal per asse
asse kamal, ajeeb kam ,ajoobe aur chamatkar logo ko dikhata hai ki jisko akal
wa budhi manne wa samajne tak majboor hai is jado se sare sansar ki aatmao ko
bas me kar liya jata hai. Jis rogi ko hakim ya doctor sal bhar me bhi theek
nahi kar sakte is jado ka jannne wala use minto me theek kar deta hai.
Yah to ham bata hi choke hai ki is prakar
ka jado khoole toor per kufr hai aur iska karna ,sikhana, wa sikhna bhi haram
hai. Is jado ki 15 sarte hai jinme se kuch sarte ye hai-
1)
Aatmao ko dil ka hal janne ka yakin
2)
Aatmao ke bare me pakka aakida kisi bhi prakar ka sandeh karne se kam bigar
jata hai.
3)
Adhayatmik sitaro ko bas me karne ki baat ka
yakin.
Sitaro ko bas me karne ki baat me
yah bataya gaya hai ki is amal me sabse pehle number chand ko bas me karne ka
hai. Chand ki dawat me ye sabd aaye hai ki jo amal ke dooran padhe jate hai-
“aayuhal malik al karim yadu ur
rahim mursal rehmat wa manjal annemat”
Atarood ki dawat me ye sabd padhe
jate hai-
“Kulluha hasal li minal kaheri
fahowa aaneka wa kulluma yanduffa minsarri minni fahowa minka”
Kisi prakar ye sabd bhi kahe jate
hai-
Ayyossad alfagil annatik liman
janniyan al umur almattalam alsarir( ala hazil kayas)
Sitaro ki dawat me ye kathan wa
ye sabd spas troop se islam wa islami sicha aur tohid ke khilataf hai.
No comments:
Post a Comment