Saturday, 7 July 2012

Jadoo hai kya ?


Allah ne farmaya ki saitani usoolo wa kaidoo par chalne tatha haq ke khilaf logo ko gumrahi par le jana hi jado hai iski bahaut si kismet hai yah nukshan pahuchane ,darane , dhamkane , pareshan karne ,sararat karne me bhi istemal kiya jata hai. Allah ka yakin wa bharosa choorkar ajib se akal se pare  hi hone wale kamo par kabo pane ka hi name asal me jado hai.
Duniya me jitney bhi prachalit tarik moojud hai unme khufiya asbab jinke adat ke khilaf kam wajood me aa jate hai ya to adhayatimik hi hai jisme aatma, sitare, aasman aur tatwoo ke hi adhayatimik bhag hai jaise aanterik bimariya, jinn wa saitan ya aatma bhoot preet aadi sarir se alag  ho chuki hai aur inko bas me karne ke bad wibheen kamo me istemal kiya jata hai ya sharirik tisre hai ya surato ke gunoo ke adhayar per amal me aati hai.
Kuch bhi ho ya haqiqat hai ki tarkibo wa tariko ke ayet bar se jado ki bahaut si kismet hai lekin dunia me sadharan taur per jado ke do hi tarike chal rahe hai.
Ek tarika to kuldaniyo ka hai aur dushra tarika babul ka hai . babul wale ki suroowat haroot aur maroot se hue hai.

No comments:

Post a Comment